Monday 3 December 2012

Sayaris

Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki,
Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki,
Beshak apni manzil tk jana h,
Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki…

======================================
Teraa Khayaal Dil Se Mitaayaa Nahin Abhi
Bedard Main Ne Tujh Ko Bhulaayaa Nahin Abhi

Kal Tune Muskuraa Ke Jalaayaa Thaa Khud Jise
Sine Aa Vo Charaag Bujhaayaa Nahin Abhi

Gardaan Ko Aaj Bhi Tere Baahon Ki Yaad Hai
Chaukhat Se Teri Sar Ko Uthaayaa Nahin Abhi

Behosh Hoke Jald Tujhe Hosh Aa Gaayaa
Main Badanasib Hosh Men Aayaa Nahin Abhi
======================================

"" Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-O-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai

Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuch Aur Bhi Hai""


======================================
this song is best one by Pankaj udhaas Ji
______________________-
Besan ki sondhi roti par
Khatti chatni jaisi maa
Yaad aati hai chauka-baasan
Chimta phukani jaisi maa

Baans ki khurri khaat ke oopar
Har aahat par kaan dhare
Aadhi soyee aadhi jaagi
Thaki dopahari jaisi maa
Chirdiyon ke chahakaar mein gunjey
Raadha-mohan ali-ali
Murghe ki awaaz se khulti
Ghar ki kundi jaisi maa

Biwi, beti, behan, pardosan
Thordi thordi si sab mein
Din bhar ek rassi ke oopar
Chalati natni jaisi maa

Baant ke apna chehra, maatha,
Aankhien jaane kahaan ga-yin
Phatey puraane ek album mein
Chanchal lardki jaisi maa

========================================

aqaaid waham haiN, mazhab Khayaal-e-Khaam hai saaqi
azal se zehn-e-insaaN basta-e-auhaam hai saaqi

haqeeqat aashnaaii asl meiN gumkardah raahii hai
aroos-e-aagahii parvardah-e-ibhaam hai saaqi

mubaarak ho za�eefii ko Khirad ki falsafadaanii
javaabii be-niyaaz-e-ibrat-e-anjaam hai saaqii

havas hogii aseer-e-Halqa-e-nek-o-bad-e-aalam
muhabbat maavara-e-fikr-e-naNg-o-naam hai saaqi

abhii tak raaste ke pech-o-Kham se dil dhaRaktaa hai
mira zauq-e-talab shaayad abhii tak Khaam hai saaqi

vahaaN bhejaa gayaa houN chaak karne parda-e-shab ko
jahaaN har subah ke daaman pe aks-e-shaam hai saaqii

mire saaGhar meiN mai hai aur tire haathoN meiN barbat hai
vatan ki sarzameeN meiN bhook se kuhraam hai saaqii

zamanaa barsar-e-paikaar hai purhol sho�oloN se
tire lab par abhii tak naGhma-e-Khayyaam hai saaqii

�aqaaid = rules (here it means perhaps religious beliefs)
mazhab = religion
Khyaal-e-Khaam = an immature thought.. a thought which hasn�t riped yet or reached its full potential
azal = from the beginning
zehn-e-insaaN = the mind of mankind
basta-e-auhaam = struck with doubts, full of doubts
haqeeqat aashnaaii = the knowledge of truth
gumkardah-raahii = strayed path
aroos-e-aagahi = bride of knowledge
parvardah-e-ibhaam = bread and brought up by doubt
za�eefi = old-age
Khirad = knowledge, mind
falsafadaani = philosophy
beniyaaz-e-ibrat-e-anjaam = able to dispense with the fear of the outcome
hawas = lust
aseer-e-halqa-e-nek-o-bad-e-aalam = capatured by world�s criterias of good and bad
maavaara = beyond
fikr-e-naNg-o-naam = shameful - disgraced thoughts
pech-o-Kham = twists and bends and curves
zauq-e-talab = search of delight, pleasure
parda-e-shab = the curtain of night
aks-e-shaam = the shadow of the evening
saaGhar = glass (of wine usually)
barbat = harp
kuhraam = lamentation, weeping
barsar-e-paikaar = head on in the battle
purhol = dreadful
naGhma-e-Khayyam = the song of Khayyaam

==========================================================

"Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahin Hoti
Nashe Mein Chur Fizaa Is Kadar Nahin Hoti

Tumhin Ko Dekhane Ki Dil Men Aarazuen Hain
Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahin Hoti

Khafaa Na Honaa Agar Bad Ke Thaam Lun Daaman
Ye Dil Fareb Khataa Jaan Kar Nahin Hoti

Tumhare Aane Talak Ham Ko Hosh Rahataa Hai
Phir Usake Baad Hamen Kuchh Khabar Nahin Hoti"

================================================================

No comments:

Post a Comment